Singing Classes #2 What Are Musical Notes?
hello guys my name is is parth singh. aur jo main aaj batane ja raha hon notes kya hote hai.. yani swars kya hote hai.. aur jo unke alag alag naam diye gaye hai..wo kon kon se hain to chaliye dekhte hai ki kya hain to yaha pe aap keyboard dekh rahe hain aur yaha aap in keys ko bhi dekh rahe honge ye dark key hai aur ye white key hai in key ko hi hum notes bolte hain jo bhi notes niche ja rhe wo sab lower notes hai aur jo bhi notes uper ja rahe hai, right side me aise hi higher aur lower notes ka division hota hai nicha gana gana matalb lower note aur uchha gana matalb higher note per gana.
Octaves in musical instrument
iske baad hum dekhte hai isko octave me matalab ye keys octave me divide hai har ek key ka naam nahi hai ek octave divide kr diya gaya hai uss octave divied me jo ander sets of keys hai yani yaha se le kar yaha tak ye ek octave hai yaha se le kar yaha tak dusra aur yaha se lekar yaha tak tisra octave yaha se le kar yaha tak chautha octave yaha se le kar yaha tak pachva octave hai agar key board bada hai isse bhi bade bade key board aate hai to 5 octave se bhi aage hote hai aur niche bhi piano jo hota hai isme bada hota hai usme ye badhta chala jata hai, piano ek bada instrument hai jo usme lower aur ek aur octave hoga aur upper bhi ek octave hoga issi liye keyboard app dekhte hai jo chota keyboard hota hai usme less octave hota hai 2 ya 2.5 aur jo bada keyboard hota hai usme jada octave hota hai kyu ki usme keys jada hote hai to ab dekhte hai ek octave ko padhte hai aur usme kuch set of keys hoti hain un set of key k naam hote hai chaliye unko dekhte hai to yaha pe aap ek octave dekh rahe hai yaha se le kar ye ek octave hai in octave k bich me kuch keys hai ye ye ye ye ye ... yaha tak ye keys hai ye jo octave hai iss key ka dusra octave hai pahla octave ye hai ye dusra octave hai ye mai batane ja raha hu iske andar kuch sets of key dekh rahe hai jaisa ki maine bataya tha in sets of key ko naam diya gaya hai western music me isko aalag naam diya gaya hai indian music me yani indian me isko alag naam diya gaya hai kyu ki dono ki language different hai waha pe English use krte hai aur yaha pe hindi use krte hai to uss hisab se music ki language yaha pe change hai
Music notations in western music
mai aap ko dono bataunga kya hota hai , sab se pahle to octave aap ne suna hoga trigonometric me suna suna lag raha hoga octagon se relative octagon matalb hota hai eight , eight matalb hota hai 8 to isme 8 kaise aa raha dekhiye 1.2.3.4.5.6.7.8 ..... to ye ek octagon iss liye bola gaya hai octave bola gaya hai ab isme kuch keys hai bich me usko naam diye gaye hai sab se pahle jo key hai usko bolte hai C fir ye D iske bich me ek black dikh raha hai aap ko .... isko bolte hai C sharp matalb c k aage hai c sharp bolte hai fir ye d fir d sharp fir ye E fir yaha bich me koi bhi black note nahi hai to iss liye yaha pe bolte hai F matalb direct f pe aa jate hai kyu ki yaha per bich me E sharp nahi hai kyu ki E sharp nahi hai iss liye ye F hai fir F sharp G, g sharp fir A yaha pe H nahi aayega A a sharp fir b ab aap dekh rahe honge yaha pe bhi nahi hai fir dusra octave dekhna start ho gaya B-C aur b sharp nahi hota hai aue e sharp nahi hota hai ye baat humesa yaad rahni chahiye
Music notations in indian classical music
to ye to english me ho gaya ab hindi me mai batata hu ki kaise sa re ga ma pa da ni ta suna hoga to wo kya hota hai as a singer ye knowledge hona bahot jaruri hai dekhi sab se pahle isko sa bolte hai fir ye fie bich me ye aata hai isko bolte hai komal aur isko bol dete hai sudh ray fir ye aata hai ga to ek pahle ho gaya iske komal ka fir ye ho gaya ma bich me kuch nahi hai to komal ma nahi hota hai lekin uper kuch hai iske yaha pe to isko chadha hua ma bolte hai yaha se chadh raha hai ye uper uter nahi raha hai ye chad raha hai tivr ma pa abhi already tivr ma bol chuke hai to isko komal pa nahi bol sakte hai iss liye sidha komal dha pe aate hai yani dha pe ye dha ho gaya aur ye komal dha ho gaya fir ni aur ye koaml ni aur fir se ye naha octave start ho gaya isko bolte hai sa c to ye indian classical me isko aise classified kiya gaya hai sets of keys ko ek chiz isme bahot important ye bhi hai ki western music me determined hai ki ye sa hai ye c hai sorry aur ye c sharp hai ye determined hai lekin indian classical music me ye change hita rahta hai agr maan lijiye ye scale c sharp measure hai to c sharp measure kr k jo basics key note hota hai wo hota hai sa matalb ye maan liya jata hai sa re ga ma pa dha ni saaa .... to jaise koi bhi particular scale agr aap lenge jaise maan lijiye d major lenge to sa fir ye ho jayega to indian classical music me ye change hota rahta hai naam scale k hisab se ye c sharp major scale hai to ye fir yaha se start ho jayega.
lekin western music me ye determined hai ki ye hi c hai aur ye hi c sharp hai lekin isme sa change hota rahta hai according to the scale agr g sharp major le rahe hai to fir ye scale ho jayega ye sa ho jayega
Summary
so i hope aap ko samjha me aa gaya hoga ki note kya hote hai aur unke alg alg naam diye gaye hai jo western music aur indian music me naam diya gaya hai wo kya hote hai aur unko kaise divide kiya gaya hai octave me i hope aap ko samjh aaya hoga ye video uske liye hai jisko music ki abcd bhi nahi pata hai maine try kiya hai itna afford diya hai ki isko maximum simplifies kr k aap dikha saku agr iske baad bhi ko doubt hai to aap plz mujhe contact kariye niche e mail id pe aap puch sakte hai koi bhi saval ho to mai uska jabab dunga aur aap comment bhi kr skte hai iske aalawa koi bhi prob ho singing se related to mujhe contact kr skte hai thanks for watching this video have a nice day ...