Singing Classes #4 How to Read/Write In Indian Classical Music In Hindi

hello guys my name is paarth singh these the 3rd level .jisme hum sikhenge ki kaise hindustani sangeet ko likhe ya padhe to abhi jo upper ya niche likha hai uss pe dhyan mat dijiye bich me ek line aap dekh rahe hai sa re ga ma pa dha ni sa , ye to har ek general aadmi ko pata hota hai ki 7 swar hote hai sangeet me to isko aise likha jata hai isko bolte hai sudh iske aalawa 5 komal swar aur hote hai jo ab hum deep me ja rahe hai to mai ek baar keyboard pe domesticate karuna pahle abhi theory samjhiye fir practical dekhte hai ki kaha pe kya hota hai.

Suddh Swar and Komal Swar
tib sa aur re k bich me ek aur re hota hai jisko bolte hai komal re jiski ek particular key bhi hoti hai wo mai bataunga key board pe sa aur re k bich me hota hai komal re ja bhi komal re likhte hai to niche re likh k ek niche halan types ka laga rahta hai to usko bolte hai komal re fir re aur ga k bich me bhi ek hota hai komal ra hota hai jiski particular key hoti hai ga aur ma k bich me nahi hota hai uska ek region hota hai wo mai abhi key board pe bataunga ma aur pa k bich me hota hai tivra ma yaha pe aap dekh rahe hai ye jo ga aa raha hai komal ga k pahle aa raha hai aur re jo aa raha hai komal re k pale aa raha hai lekin yaha pe tivra ma jo ho rahaa hai ma k baad aa raha hai dekh rahe hai yaha pe aap. to ye tivra ka matalb hota hai actually hindi me chadha hua to ma k upper aata hai iss liye tivra lagaya jata hai iske upper ek dash laga dete hai uske paad pa aata hai pa ka koi komal ya tivra nahi hota hai wo bhi mai bata deta hu region kya hai fir dha k pahle aata hai komal dha ni k pahle aata hai komal ni in 5 k niche ki key ek particular keys hain .jo upper k 7 swar hai inki bhi ek particular key hai jinko aap jante hi hai ki kon kon si key hai ab total 12 swar hote hai bolte hai 7 lekin agar deep me dekhte hai to 12 swar hote hai total.
Upper Octave Swar Notation
ab sa ke upper jab dubara start karenge to upper octave ka yani sa re ga ma pa ni dha fir se start ho jayega .sa k upper jab bhi jayega to upper octave me chala jata hai to uper normal re to likh nahi sakte because ye confusion ho jayega iske sath to re likhte hai lekin uper dot laga dete hai to uper dot lagane ka matalb hoga ki bhaiya ye uper ka hai aur uske baad ga likhte hai to uper dot laga dete hai fir aise hi komal likhenge to uper dot laga k likhenge ma likhte hai to uper dot laga k tivra ma likhte hai fir dot laga dete hai ye ho gaya upper ka to jab bhi mai bolu ya mere notation se aap dekhe ki uper dot laga hai to samjh lijiyega ki wo uper ka hai uske baad niche dekhte hai to yaha se jab niche jate hai yani sa ni dha pa....aie kar k niche jate hai to jusko bhi ni agar yaha pe hai aur agar simple ni likhenge to ye bhi wrong hoga because ye confuse ho jayega isse to isme kya krte hai ki jab bhi niche jate hai to dot niche laga dete hai to jaha jaha dot niche laga hota hai usko bolte hai mandrsabtak ka ni ya mandr sabtak ka dha aur agar sa k uper jate hai to matlab upper octave me ja rahe hai to taar sabtak ka re ....aise bolte hai . ye yahi hota hai aap ek baar dekh lete hai ki demonstration key board pe kaiise kaha kaha kon kon si key hoti hai ab sa re ..... maine komal re bhi isme bola tha to komal re hoga ye ...isko bolte hai komla re .... re aur ga k bich me aap ye swar dekh rahe hai isko bolte hai komal ga pahle maine bataya tha ki ma jo hota hai wo humesa chadha hua hota hai to dekhiye yaha pe ga aur ma k bich me koi key nahi dikh rahi hai iske aage key dikh rahi hai ye .. to tivra ma kyu ki ma k aage aata hai chdh hua is liye tivra ma fir pa na komal pa hai na tivra pa hai kuch bhi nahi hai . komal pa aur tivra pa nahi hota hai kyu ki yaha pe tivra ma ho jayega aur yaha pe komal dha ho jayega to is liye pa ka koi type nahi hota hai . to ye jo re hoga ye humesa iss re ko likhenge re lekin uper dot laga k aur isme bhi komal ga hai to komal ga likhenge lekin uper dot likhenge .to jitne bhi sa k uper jayenge swar chahe yaha tak ho yaha tak ho .........humesa usme uper dot laga denge wo denote krta hai ki wo uper ka yani upper octave ka swar hai
Lower Octave Swar Notation
ab niche ka dekh lete hai wapas sa se aate hai ...ye wala ni likhenge to ni lekin niche dot laga denge aur cont. this is simple thing lekin ja isko pronounce karenge to aise nahi kar sakte sa ni dot ni ya dha aise nahi kar sakte lekin jab bolte wakt ni hi bolenge lekin likhte wakt usko denote karenge dot laga k uper ya niche. niche tabhi hoga jab wo mand subtract me ja raha ho aur uper ka dot tabhi lagayenge ja wo sa k uper ja raha ho to i hope you understand its the basic simple think aage me jo dunga usme uper ya niche laga rahega to usme aap ko waha se pata karna hai fir mujhe batane ki jarurat nahi padegi aap ko samjh me aa jayega ab aap ko koi bhi problem ho to niche diye gaye mail ya fb me contact kar sakte hai thank you....